Pakistaan occupied KASHMIR (PoK) kaise bana ?

Masterji - good morning students...
Students good morning sir ji...

Azaaj - sir ji PoK kya hai ?, kaise bana ?
Masterji - PoK ka matlab hai, pakistaan occupied KASHMIR
PoK

Azaaj - bataiye na kiya hua tha ?...!
Masterji - 1947 aug 15 taarikh ko jab bharat ko azaadi mili, us k thik ek din pehele paakistaan v azaad hua. Tab kashmir main maharaja HARI Singh ki rajuti chall rahi thi. Kashmir k maharaja hari singh chahate the ki kashmir ek azaad mulk ho kar rahe. Jab saari rajwado ka bhara k saat bilaya(judna) ho raha tha, tab maharaja pakistaan ko ek taraf yeh varosa dila rahe the ki main bilaya k baare main soch raha hun to dusri taraf bharat ko bhram main rakkhe hue the. 1947 aug 15 tak maharaja faisla nehi kar paye the ki karna kya hai. Idhar bharat ki government intazaar kar rahi the ki maharaja koi nirnaya le.

Azaaj - fir kya hua ? Kya raja ne faisla le liya ?
Maharaja Hari Singh
Masterji - are aage to suno..., Tab achanak pakistaan k aarmy ne ves badal kar (kawaaliyon k ves main) kashmir par hamla kar diya. Wo log kawaali k ves main kashmiri gawon par hamla kar rahe the, loot paat kar rahe the, mahilayon k saat balatkar kar rahe the, logo ko jaan se maar rahe the. Esa karte karte wo log shreenagar tak pahunchne wale the.

Azaaj - kya wo pahunch gaye...? Kisine unhe roka nehi...?
Masterji - dheeraj rakkho sab bataunga..., Tab un kawaliyon k saath maharaja ki sena lad rahi thi, par kashmiri sena un k aage tik nehi parahi thi. Usi wakth esa kuch hua jiska maharaja ne kalpana v nehi ki thi.

Azaaj - kya hua...? Kya kashmiri sena ne unhe hara diya...?
Masterji - nehi, sunooo... Kashmiri muslim fauj v un kawaaliyon k saath milgaye. Toh maharaja ne apne kashmir ko bachane k liye bharat k saath judne ka faisla kiya. Maharaja ne usi pal rajinama main dasthakhat kiya aur bharat k army un kawaliyon k saath yudh karne lage.

Azaaj - tab to un kawaliyon ka khair nehi...!
indian army
Masterji - Yudh main jit bharat ki ho rahi thi par tatkaalin pradhan mantri shri jawaharlal neheru ne aakash bani k madhyam se bharat k sainikon k upar yudh biram(seize fire) ka elaan kardiya, is wajah se bharat ki sena ko yudh bich main rok kar waapas aana pada. Toh kashmir k jitne hisse par paakistaani aarmy ne kabza kiya, wo ho gaya pakistaan occupied kashmir(PoK), aur jitni dur tak bharatiya sena ne yudh kiya tha wo hissa ho gaya bharat ka. Par tab tak paakistaani army ne 3/4 hissa apne kabze main le liya tha. Isi tarah se PoK bana.

Aaj v bharat puri ki puri kashmir ko
apna avinna  ang manta hai jismain PoK v aata hai aur paakistaan v kashmir ko puri taraha se apna banane ki firak mai juta reheta hai. Kashmir ko lekar aaj v bharat aur pakistaan main cold war chal rha hai.
Previous
Next Post »