CORONA VIRUS IN INDIA, SOURCE OF CORONA VIRUS, 43,000 GLOBALLY AFFECTED

The Corona virus(nCov) in India

[A typical virus]
Corona virus(nCov) sabse pehele, china ki wuhan market se spread hua hai. January 2020 tak ki report se yeha pata chela hai ki, Globally iss virus se 43,000 log affected hue hain. India samet baki 24 countries ko mila kar avitak 400 logo ki blood main nCov paya gaya hai. China main ye mahamari ka roop liya hai aur iss virus se 42,500 log affected hai. There is no veccine for nCov currently & dont know how long will it take to develop a vaccine for Corona virus ?

Source of corona virus

Corona virus(nCov), Chamgadad(Bats) ke sarir main paya jata hai. China main 500 tarah Ke Corona virus identify kiye gaye hain, jo ki Horseshoe bats (Rhinolophidae) Ke blood main ve paye jate hain. China ki market main bats bahat he kam(rare) paye jate hain, par unka shikar(hunt) kiya jata hai aur direct restaurant/hotel main bech diye jate hain, for food. Researcher avitak ye pata nehi laga paye hain ki, ye virus failta kaise hai ? (What is the route of transmission ?)
[Horseshoe bat]

Hypothesis



Hypothetically recent deta se yeha kehe sakte hain ki koi intermediate host animal(janwar) iss virus ko transmit kar raha hai. Intermediary host jaise ki pigs, Dogs, Pangolins, Snake etc. In janwar ke blood main ve nCov paye jate hain aur corona se pidit mariz ke sarir se paye gaye nCov se 96% Match karte hain. Kyun ke Corona ek Zoonotic disease hai, jo janwaron se insano ko transmit hota hai aur Humans, reptiles, birds ek he subphylum "vertebrates" se belong karte hain, to iss wajaha se transmit hone ke chances badh jate hain. Corona virus ke pas esi abilities hain, jis se wo insano ke lungs(fefede) main paye janewale cells ke receptors ke saath jud sakta hai. Hypothetically Ye ve ho sakta hai ki insaan khud intermediate host ho ! Ya fir kuch aur biological substance, jo transmit hone main madat kar raha ho !

Exception of corona virus (Serological)


[Adivasi life]
Corona disease ka ek exception ve hai, Serological report ki study se yeha pata chalta hai ki, jo log jungle, pahad, gufa(cave) aur bats ke area(habitat) main rehete hain, un logon ki blood serum main ve Corona virus(nCov) paya jata hai jo ki ek common disease hai. Hum log yeh v kaha sakte hain ki "It is a seroprevalence matter".

Corona virus in Odisha 

[Pangolin]
Odisha main Horseshoe bats nehi paye jate. Odisha main bats(primary host) aur pangolin(intermediary host animal) jaise janwaron ko nehi khaya jata. Odisha aur india ki kai ese states hai jaha sarisrup(reptiles) ko khaya nehi jata. To Odisha main corona disease transmit hone ki chances bahat hi kam hai. Kyun ke Corona ek Zoonotic disease hai, jo ki janwaron se insano ko transmit hota hai. Odisha main pangolin ke kafi prajati(species) dekhne ko milti hai. odisha se china, bahat hi matra main pangolin smuggling kiye gaye hain. Iska matlab ye nehi ki rout of transmission pangolins hain. Esa suspect kiya ja sakta hai.
Previous
Next Post »