Gharelu jhagada (2 + 2 = 5)

Gharelu jhagada

Ek practically sahi hota hai aur dusra technically sahi hota hai. (2 + 2 = 5)

Master ji - piku beta, agar tumhare haath main do aam(mango) hai aur maine tumhe do aam aur die to  batao tumhare paas kitne aam hue ?
piku - paanch (5)

Ek baar fir se master ji ne wahi sawaal puchha, to piku ne fir jawaab dia paanch !
Master ji to chalaak the, unhone fir se wahi sawaal puchha dusre tarike se. iss baar wo aam k badle berry liye.

Master ji - tumhare haath main do berry hai aur maine tumhe do aur berry die. to batao tumhare paas kitne berry hue ?
piku - chaar (4)

Master ji chakit hue, jawaab to sahi aya ! to master ji ne cross chek kiya ye jan ne k liye ki ab aam lekar puchhne se kya jawaab ayega.
phir se aam lekar sawaal kiya

Master ji - agarahi hota hai aur dus tumhare haath main do aam(mango) hai aur maine tumhe do aam aur die to tumhare paas kitne aam hue ?
piku - paanch (5)

Master ji ko gussa aya. Master ji ne piku se puchha aam lekar paanch ho raha hai aur berry lekar chaar ho raha hai, ese kaise ? Piku ne jawaab diya mere bag main pehele se hi ek aam hai. to paanch he hue na.
Esa hi kuch hota hai humare saath. Ek technically sahi hota hai aur dusra practically sahi hota hai.
yaha master ji technically sahi the aur piku practically sahi tha.
Previous
Next Post »