FANI (the extreme cyclonic storm)

FANI (the extreme cyclonic storm)

9,000 crorr rupaye ki nuksan / 1.6 crorr log prabhabit


Bhubaneswar : Us din tak sab kuch sahi chal raha tha.
Fani cyclone landfall odisha

 Saari chize sahi thi, bus ka aana jaana, train ka aana jaana, savikhus the kyu k kisi ka kuch v bigda nahi tha. Main us din k pahle se, 21 tarikh ko hi ghar chalagaya, kyu ki mere ek dost ki bade vai ka shadi tha. wo din 26 april 19, is din ke thik ek mahine pahle se hi savi jaan gaye the ki ek cyclone aanewala hai aur wo ab tak ki sabse badi cyclone hai. Odisha main iss se pahele v cyclone takra chuki hai par ab tak kuch v nuksaan jhelna nehi pada. News main khabar mila ki iss cyclone ka naam FANI hai.
Main aur mere kuch dost shaadi mai aaye the aur kuch wahi bhubaneswear main hi raha gaye, kuch kaam se wo log aa nehi paye. Shaadi ki maze loot rahe the, masti chal rahi thi, fir ek phone aaya, mere ek dost ne uthaya aur kaha 'hello'. Tab hame pata chela ki purb odisha main cyclone landfall kiya hai, bahat jor jor se hawa chal raha hai, baarish rukne ki naam hi nehi le rahi, ghar se nikal paana muskil ho raha hai. Phone mai humne suna ki, mere dost jo raha gaye the unki ghar ki chhat hawa uda le gayi. aaj kal social media ki wajaha se khabre aasani se mil jati hai, tab jake maine youtube chala di. Kuch video saamne aayi, cyclone k wajaha se kai ghar barbad ho gaya tha, kheto main paani bhar gaya, saari fasle ujad gayi, saare ped gir kar raaste par pade the aur bijli ke khambe v, charo or paani ki samasya, na bijli na khana aur na hi mobile main network, jahan jao bas hahakar macha hua tha. Kuch logon ne to cyclone ka aanand v uthaya jaise building ka girna, bus or gaadi ka hawa main udjaana, gharo ki chhat, khidki, kiwad ko tut te dekhna aur edhar kuchh log apne tute hue ghar ko dekh kar ro raha the to koi use fir se banane main laga hua tha.
A mother and her child prepering food after fani strike
bahat log beghar ho gaye aur jo bade amir log the wo paise de kar hotlo main rahene lage khane pine ki kami ki wajaha se. Odisha ka esa haal pichle 20 saalo main kavi nehi hua tha. Esi paristhiti ka saamna odisha ke logon ne 7 dino tak kiya.
Pura ka pura april mahina purb odisha main ese paristhiti raha. kahi paani ki chinta to kahi rahane ki chinta main log dube hue the. Fir government ne is musibat ki ghadi main jo ban pada wo kiya. isse dhire dhire halat sudharne lagi. Khabar mili ki odisha ko 9,000 karod rupaye ki nuksan hua aur 1.6 karod log prabhabit hue.
Main june 1 taarikh ko bhubaneswar aagaya. Esa lag raha tha jaise sab kuch khali ho gaya ho. dekh kar andar hi andar ek dar sa baith gaya. Na jane us cyclone ko kaise jhela hoga in logon ne. aaj 2 mahine ho chuke hain par aaj v wo sab soch kar dil mai dar sa jaag uth ta hai.
Oldest